How to Hide WhatsApp photos & Videos

WhatsApp par kuch aise photos & videos aate hain jo aap kisi aur ko dikhana nahi chahte hain, par kaise ? Kuch aise tricks hai jisko use karke aap Whatsapp ke saare photos & videos ko hide kar sakte hain.
Iske liye aapko koi apps download nahi karna padega.

girl chatting in phone image, girl with phone in hand image


Kaise kare?

Phone ke File manager/ File explorer ko open karke internal storage par jaayen.
WhatsApp folder ko open kare aur uske andar aapko media folder dikhega use open kare.

Uske baad WhatsApp image ko rename karke .whatsapp image likhen. Iss tarah se whatsapp videos ko rename karke .whatsapp videos likhen. Bas aapko sirf folder ke naam se pehele ( . ) lagake ok upar click karna hota hai. Ab ye folder file manager pe nahi dikhega.

Ab phone settings par apps manger installed apps ke upar click kare. All section gallery ke upar click kare. Iske niche ek icon hoga 'Clear Cache' ko click kare. Ab aapke saare photos & videos gallery par se hide ho jayega.

Hide Photos & Videos Ko Kaise Dekhien?

Hide Photos & Videos ko dekhne ke liye File manager open karke Whatsapp folder par jakar media folder ko open kare. Iske right side par jo option hai us pe click kare. Uske baad show hidden files par click kare. Iske baad aapko hidden files show ho jaayega.

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post